agar hinduon se hai nafrat to mujhe hindu samajh lena
musalmaano se hai nafrat to musalmaan
mere mazhab se koi farq nai padta
inhe insaaniyat se nafarat hai aur main hu insaan.
na jaane kise garv hai is mulkiyat ke vyapar par,
na jaane mazhab mein jang likhi hai kahaan,
na jaane kiski jeet hai teri ya meri,
par jo haar gai wo ghar par beithe roti hogi teri maa !!
ja ae dost ki tujhe jannat naseeb ho
na sarahad ho na jang ho wahaan,
na ho koi wahaan mandir ya mazjid,
ho raam ke naam se hi ant ramzaan.
bas maa ki god mein hum dono ke sar ho,
aur meri baazuon par na hon tere khoon ke nishaan.
gar chalte chalte allah takraae kisi chauraahe par
to pooch lun usse jaanwar tak to theek tha
kya soch ke banaya tune do kaudi ka insaaan...
