Saturday, 28 April 2012

ALVIDA


udta hun main bejhijhak
pankh hai tu mere,
ae saathi bolun to kaise
tu nahin to kuch bhi nahi hain!

hain waqt bhi thoda sa guzra
kash rok sakta isse
log kehte hain darta hun main
par mere apne aks ko alvida kehne
ka rutba
ae humsafar mujme nahin hain.

kya bataaun kitna gum hai mujhe
hain 4 pal ye zindagi
teri chaya mein maine itna sab seekha
aur ab kahin baithkar ro raha hun
aur jhoot bolunga dil se
ki in sab khushiyon ki wajah
koi bhi ho bas tu nahi hai

meri manzile zaroori hain aur ye raahen
maine socha tu zaroori nahin
hun guroor me abh bhi chalta
par kya karunga manzilon ka
tu nahin to in raahn mein roshni nahi hai

itna hai seekha tujhse
peeche hi dekhunga main
tum ho peeche
to aage ka rasta mujhe
ae rehguzar chalna nahi hai!