Hazaaron aaine
hain par dil jaisa koi nahi,
Asliyat to ye bayaan karta hai.
Hazaaron mukhaute hain pehn le,tera aks to phir bhi
tere dil mein thodi si jagah rakhta hai.
Allah tak akela hua is kudrat-e-jahaan mein,
Daat deta hun teri ye dharti hai aur tu insaan,
Fir bhi poora caravan
Kisi ka saath nibhane ki raza rakhta hai!
Aediaan abhi
naazuk hain, chalna abhi seekha nahin,
Par naap lega tujhe bhi ae aasaman ye kabhi.
Ye insaan hai, udnaa na aata ho isse,
Par kaanto par nange paanv chalne ki ik ajab si wajah rakhta hai!
Naukaaen kahaan thehri hain beech samander
Ki sabne us paar jana hai,
Chalne ka naam zindagi hai, manzil milte hi thehr kar,
Ik din sab ne mar hi jaana hai!
Manzile chahe ho tere jeene ka maksad,
Ye raasta hi hai jo uthne girne ki hadd tak
Tere khatte meethe jhislmil se nishan rakhta hai!
Saanp seedhi nahin shatranj hai chalna yaha ae zindagi,
Bazi jeete hain wo jo kurbaanion se darte nahin!
Haare hain hum sar katakar fir bhi ,
Jeet ki us deewanagi ko is dil me ab bhi fanaa rakha hai!
Allah tak akela hua is kudrat-e-jahaan mein,
Data deta hun teri ye dharti hai aur tu insaan,
Fir bhi pora caravan
Kisi ka saath nibhane ki raza rakhta hai!
.sahil.
