wo baarish ki pehli boond
itne arse baad..
aur tera jhoom kar naachna
ki jamke barso aaj
dard se sookhe dil par jhilmil
yaaadon ki wo pehli darkaar
[kaun issse itna sunder banata
na karta tu jo intezaaar.]
wo sapno ka sach meein badalna
uska teri baahon mein aa simatna
khushi ke maare jab band aankhon mein
baarish ka bin baandh jhalakna
aur aankhien kholte hi apni rooh ka deedar
[kaun issse itna sunder banata
na karta tu jo intezaaar.]
wo taalion ki goonjti awaaz
un aahaton ke sudhre saaz
wo tera sir uthaye ghar chale aana
aur maa ki shaabash hazaar.
kaun tujhe palkon par bithata
na karta tu jo intezaar.
Aur aaj ye sab bhool ke
Chala tu hare ab kahaaan
Thode to pathar aenge
daria-e-mushkil hai yahaan
thodi si hi reh gai arzoo hai
aur tu apne sapnon me nisaar
mud ke dekh teri nauka kar chuki hai
is sankhli nadiya ko paar
aur bas thoda sa hi bacha hai
khata meetha intezaar!!!!
itne arse baad..
aur tera jhoom kar naachna
ki jamke barso aaj
dard se sookhe dil par jhilmil
yaaadon ki wo pehli darkaar
[kaun issse itna sunder banata
na karta tu jo intezaaar.]
wo sapno ka sach meein badalna
uska teri baahon mein aa simatna
khushi ke maare jab band aankhon mein
baarish ka bin baandh jhalakna
aur aankhien kholte hi apni rooh ka deedar
[kaun issse itna sunder banata
na karta tu jo intezaaar.]
wo taalion ki goonjti awaaz
un aahaton ke sudhre saaz
wo tera sir uthaye ghar chale aana
aur maa ki shaabash hazaar.
kaun tujhe palkon par bithata
na karta tu jo intezaar.
Aur aaj ye sab bhool ke
Chala tu hare ab kahaaan
Thode to pathar aenge
daria-e-mushkil hai yahaan
thodi si hi reh gai arzoo hai
aur tu apne sapnon me nisaar
mud ke dekh teri nauka kar chuki hai
is sankhli nadiya ko paar
aur bas thoda sa hi bacha hai
khata meetha intezaar!!!!






